भद्रा क्या होती है Bhadra kya hoti hai?

 भद्रा क्या होती है 

भद्रा भद्राकाल मैं क्या करें क्या नहीं ?

Bhadra kya hoti hai? 

 bhadra

वैदिक ज्योतिष मै मुहूर्त बहुत ही महत्वपूर्ण होता है किसी भी शुभ कार्य करने से पहले हम मुहूर्त निकालते है मुहूर्त निकालने की प्रक्रिया मैं भद्रा भी अहम् भूमिका निभाती है मुहूर्त सुभ भी हो परन्तु भद्रा तत्कालीन अशुभ प्रभाव मैं हो तो कार्य मैं बाधा आ सकती है इसलिए मुहूर्त निकालने के दौरान भद्रा भी देखना आवश्यक होता है भद्रा के समय कोई भी सुभ कार्य नहीं किया जाता है भद्रा का प्रभाव सवर्ग लोक पाताल लोक और पृथ्वी लोक तीनो लोको पर होता है | 


Kon thi bhadra , bhadrkal mai kya kare kya nhi ?

bhdra mata chaya se utpan sury bhagwan ki putri or sanidev ki bahan hai inka vikral rup kala lambe bal or danto wala hai apne is bhyawah rup ke karan unhe hindu panchang mai visist karn ke rup mai jagh di gyi hai | janm ke samay bhadra mata pure sansar ko apna niwala banane wali thi or isi karan sabhi yang pooja path utsawa ya kisi bhi mangal kary mai  vighan dalne lagi | bad mai brhama ji ke samjhane ke uprant unhe sabhi 11 karno mai satve karn visist karn ke roop mai jagh di gyi bhadra ko visist karn ke nam se bhi jana jata hai.yah bhadrakal ke roop aaj bhi vidyman hai.


Bhadra ki gadna kya hoti hai ?


hindu panchang 5 mukay tatwo tithi,var,yog,naksatra or karn ke sahyog se bane hain, chandr diwas ke aadhe hisse ko kaaran kahte hai or har tithi mai do karn hai. kul milkar 11 karn hote hain, jinme se 4 nischit sthan par hain to wahi baki saat asthir hote hain. char nischt karn hai sakuni chtuspad nag or kistughan | anay sat ashthir karn hain bav,balav,kolav,tetil,gar,vanij,or visti |visti karan ko hi bhadra bhi kaha jata hai yah hamesha chalayman avstha mai rhata hai, panchang ke nirman mai bhadra ka mahtvpurn hota hain| 

Bhadra ka vash khan khan hai?

Tino loko mai bhadra ka vash hai| ye har samay tino loko mai vicharan karti rahti hai | jab chandrama ,mesh.virsh,mithun,ya vrichik rashi mai shthit hota hai hai to bhaddra ka vash savrg lok mai hota hai| jab chandrama ,kanya,tula,dhanu,or makar rashi mai shthit hota hai tab bhadra ka vash patal lok mai mana jata hai| jab chandrama ,kark,shinh,kumbh, or meen rashi mai sthit hota hai tab bhadra ka vash prithvi lok mai mana jata hai. prithvi lok mai vash ke samay iska mukh niche ki or hota hai.

prithvi lok mai vash ke samay samne ki or bhadra ka mukh hona prbhavi hota hai is karan bhadrakal mai prithvi par kisi bhi mangal kary ki putti nhi ki jati hai aese samay mai kiye gye kary asfal natijo par pahuchte hai, vahi jab bhadra savrg lok ya patal lok mai vash karti hai tab iske subh fal ki sambhawna ki jati hai|

Bhadrakal mai kya karna chahiye?

Kisi dusman par prhar karna ,hathiya.ka istemal,sarjari,opereation,kisi ke virodh mai kanuni karywahi karna ,aaj lagana, bhains,ghode,unth,aadhi janwar se sambandhit kary ki suruaat karna subh faldayi ho sakte hai,yagy hawan bhi kiya jata hai yah bhi kaha gya hai ki agar kisi ko koi jaruri kary karna hai to unhe yah kam subh ke samy jab bhadra uttrardh mai hoti hai athawa rat mai jab bhadra purwordh mai hoti hai, tab karna chahiye jyothishiyon ke anusar bhadra ke prkop se bachne ke liye subh uthte samay bhadra ke 12 namo ka jap karna chahiye.


Bhadra ke 12 nam kon kon se hain-

 DHANYA,DADHIMUKHI,BHDRA,MAHAMARI,KHRANANA,KALRATRI,MAHARUDRA,VISTI,KULPUTRIKA,BHARVI,MAHAKALI,ASURKSHKARI| manyta hai ki agar aap bhadra ka aadar kare. riti riwaj ke sath unki pooja kre, unki 12 namo ka jaap kren to bhadrakal mai aap kasth se mukat rahenge | muhurt mai bhadra ka vash  aati mahtwpurn hota hai, kyoki iska aapke jivan par subh ashubh asar hota hai.

agar aapko ye post Bhadra kya hoti hai? achi lagi hai to mere baki post par par bhi dhayan den dhanywal or aap sabhi ko Rakshabandhan ki subhkamnaye.

Comments

Popular posts from this blog

बालाजी आछा लागे सै लिरिक्स, Balaji Achha Lage Se Lyrics hindi and english

जननी मैं राम दूत हनुमान ||RAMDOOT HANUMAN LYRICS

Mujhe Kon Puchta Tha Teri Bandagi Se Pehle lyrics